Breaking News
Loading...
Thursday, March 18, 2010

CID aur RAMGARH ke SHOLAY

CID aur RAMGARH ke SHOLAY



Thakur ka khandaan ujaddne ke baad wo Gabbar ko pakadne ke liye CID ki madad maangta hai...

CID, apni purani khatara white SUV mein Ramgarh pahuchte hain. Gali gali mein sannata chhaya rehta hai, kyunki sab log Gabbar ke khauf se apne apne gharon mein chhup jaate hain.

Shaayad isiliye Raaaamlaaaal bhi kahin gaayab ho jaata hai.

ACP: Yahan itna sannata kyun hai bhai? Kuch to daal mein kaala hai, warna saare gaon wale yun doomdaba ke bhaag ke chhupte nahi.

Abhijit: Hain??? Lekin Sir...filmon mein to aksar yahi dikhate hain ki gaon wale darpok hote hai. Anjaan logon ke aate hi apne apne gharon mein chhup jaate hain. Toh phir...

ACP: Haan haan maalum hai. Abhijit, ab tum mujhe sikhaoge ki kya kehna chahiye?

Abhijit: Sorry Sir. Lekin sir, aisa bhi to ho sakta hai ki gaon walon ko lagta ho ki unhe humse kisi tarah ka khatra ho, isiliye koi nazar nahi aa raha.

Dayanand: Nahi sir, mujhe to lag sab logon ko pata hai hum CID se hain. Isiliye chhup rahe hain. Main abhi sab ke darwaze todd kar sabko bahar nikaalta hoon.

ACP (ungliyan ghoomate hue): Nahi Daya, itne darwaze toddne ki koi zarurat nahi. Aur waise bhi, yeh saare darwaze bahut kamzor hain. Inhe to Freddy bhi phoonk maar kar todd dega. Chalo pehle chal ke us thakur ki khabar lete hain.

CID wale jaake Thakur ke ghar ka darwaze knock karte hain.

Thakur: Kaauuun???

ACP (chhati chowdi karke): Hum log CID se hain!!!

2-3 minute baad bhi Thakur darwaza nahi kholta.

ACP: Yeh Thakur ko kya ho gaya. Bathroom mein phisal to nahi gaya. Abhijit kuch to gadbad hai. Kuch to gadbad zarur hai. Daya... darwaza todd do...

Daya-the-darwaza-todd-champion ACP ko niraash nahin karta.

ACP: To tum ho Thakur!!!

Thakur: Yeh to koi bachcha bhi bata sakta hai, mere kate hue haath dekh kar

ACP: To tumne darwaza isiliye nahi khola, kyunki tumhare haath nahi hain.

Thakur: Bewakufon se sawaal mat puchho. Mere haath salamat hote to main iss Saand Daya ko darwaza kabhi toddne nahi deta. Raaamlaaal bhi pata nahi kahan bhaag gaya.

ACP: Hmmm... Abhijit-Daya jao... pata lagao Thakur ke haath kaat kar iski yeh haalat kisne ki?

Thakur: Iski koi zarurat nahi. Mujhe pata hai.

ACP: Hmmm... Thik hai... Abhijit-Daya jao... pata lagao ki Raaamlaaal kahan gayab ho gaya? Kahin use kisine kidnap to nahi kiya. Arre Thakur ko raj-marra ke kaam karne mein takleef hoti hogi. Ab dhoyega-sukhayega kaun?

Thakur: Iski bhi koi zarurat nahi. Mujhe pata hai. Shyaam hone tak wo aa jayega apne aap.

Abhijeet: OK!!! Lekin humne suna hain ki yahan kisi daaku ne aatank faila rakha hai. Hainn?

Thakur: Ye gaon mera hain, aur us daaku se bhi, main hi niptunga.

ACP (ungliya hilate hue): Kaanoon apne haath me loge toh jail me chakki peesni padegi samjhe? Oh Sorry!!! Main to bhool hi gaya tha. Tumhare to Gabbar ne haath hi kaat diye hain.

Thakur: A.C.P.... muh aur ungliya sambhaal kar baat kar samjha???

Abhijeet: My gawwd... Sir ye to seedhe dhamki de raha hai.

ACP: Rehne do Abhijit, iske haath paav baandh ke ise bureau le chalo. Zaroor daal me kuch kaala hai. Oh Sorry!!! Main to bhool hi gaya tha. Tumhare to Gabbar ne haath hi kaat diye hain. Abhijit iske sirf pair baandho aur CID le chalo.

Thakur: ACP!!! Loha garam ho gaya hai lagta hai hathoda maarna padega.



Alright guys... you are good to go i guess... think wild and let the CID-like mind of yours produce a story which can force CID ppl to create an episode over it.
Rohit and Sumesh... loha garam hai maar do hathoda!!!

2 comments:

  1. why was the story left incomplete..?? it looked interesting as I was reading it..

    ReplyDelete

Quick Message
Press Esc to close
Copyright © 2013 Aali Lahar Kela Kahar All Right Reserved